Us ke nazdeek gam-e-tark-e-wafa kuch bhi nahi
Mutma'in aise hai woh jaise hua kuch bhi nahi
Ab to haathon se lakerein bhi miti jaati hain
Us ko kho kar to raha mere paas kuch bhi nahi
Kal bichadna hai to phir ehd-e-wafa soch ke baandh
Abhi aagaz-e-mohabbat hai gaya kuch bhi nahi
Mein to is waaste chup hoon ki tamasha na bane
Tu samajta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi


MuJhe maløøm ha¡ mer¡ aankhøn kø talaash k¡s k¡ ha¡
 tuJhe dekhta hun tøh bas manz¡L ka gumaan høta ha¡

Søchta hun bana lun kø¡ kabr¡stan d¡L me¡n_________:( :(
K¡ khawb ek ek kar k marte Ja rahe ha¡n_________:( :( 

♥ Tum kisi aur ki kismat mein ho Tum Mere Nahi, ♥
♥ Yeh agar sach bhi hai to mujhko Bataya Na Karo..!!

Shikwe B Hazaron Hai Shikayat B Boht Hai,
Is Dil Ko Magar Usse Mohabat B Boht Hai.

Aa Jata Hai Milne Wo Tasawwoor Mai Hamare,
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat B Boht Hai.

Yeh B Hai Tamanna K Use Dil Se Bhula Dein,
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat B Boht Hai.

Dekhein To Zara Pee Ke Zehr-E-Mohabbat,
Sunte Hain K Is Zehr Mai Lazzat B Boht Hai.....!!!!

Umar sari to door ki bat hai.......
Ek lamhy k liyay hi kash wo mera hota!

Es Marhalay Ko Moat Bhi Kehtay Hain Dosto,,

Ek Pal Mein Toot Jayen Jahan Umar Bhar Ke Saath!

Aankhen Band Kartey Hi Yaad Aa Jaatey Ho,
Tmhen To Bas Satanay Ka Bahana Chahiye.!

Socha Tha Uss Se Bichrenge Toh Mar Jayenge,
Jaan Lewa Khauf Tha Bas, Hua Kuch Bhi Nahi..

Ya Rabb woh na samjhe hain na samjheingay meri baat/
Dey aur dil unko jo na dey mujh ko zubaan aur...

Aah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak..
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak.

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Barahna Sar Hai Tu Azam-e-Buland Paida Kar
Yahan Faqt Sar-e Shaheen Ke Waste Hai Kulah/
Na Rahe Sitare Ki Gardish Na Bazi-e-Aflak
Khudi Ki Mout Hai Tera Zawal-e-Naimat-o-Jah

hamein phir un se umiid aur unhein hamaarii qadr/
hamaarii baat hii puchhe na vo to kyonkar ho

Mujh ko to sikhla di hai afrang ne zindeeqi
Is daur ke mulla hain kyun nange musalmaan

mujhe junuun nahiin Ghalib vale baqaul-e-huzuur/
firaaq-e-yaar mein taskiin ho to kyonkar ho

Tumse mumkin ho to pihr se rok do sansen meri...!!
Dil jo dhadkega to yaad phir tum aaogi...!!

Tu mohabat se koi chaal to chal
Haar janay ka hosla hai mujhay

Jo Nibha Na Sakte Hoon Rasm-E-Mohabbat ,

Unse Keh Do K Kisi Kay Jazbaaton Se Khela Nahi Karty

Jo Poochhta hai koi, Surkh kiyu'n hai aaj Aankhe..
To aankh mal ke Ye kehta hoo, Raat so na saka...!!!
Hazaar chahoo magar ye na keh sakoonga kabhi..
Ke Raat Rone ki Khwahish thi, magar ro na saka...!!!

"Mera Tareeq Amiri Nahi Faqeeri Hai
Khudi Na Baech Ghareebi Main Nam Paida Kar"

"Wuhi Jahan hai tira jis ko tu kare paida
Yeh sang-o-khisht naheen jo tiree nigah men hai"

"Your world is (only) the one which you create yourself,
Not these stones and bricks, which are in sight"
(Allama Iqbal RA)

Door se andaaza mat karna mere halat ka
 Behta sehra hoon mere nazdeek akar dekh lo

Dil b badal gaya hai, badalti rutoun k saath...
Hum jis tarah se pehle the,, ab nahi rahe..

Badla Na Mere Baad Bhi Mouzu-E-Guftago,
Main Ja Chuka Hon Phir Bhi Teri Mehfilon Main Hon,

voh aaye bazm main itna tou Mir ne dekha,
 phir os k baad chiragoo main roshni na rahi

Masroof Hai Din Raat,
Usay Waqt Kahan Hai,, Woh Mujhse Karay Baat,
Usay Waqt Kahan Hai..... Betaabii e Dil Ka
Usay Andaaza Nahin Hai,, Samjhe Mere Jazbaat,
Usay Waqt Kahan Hai..... Woh Ponchhay Meri Aankh
Se Behte Huwe Aansoo,, Ae Rang e Barsaat,
Usay Waqt Kahan Hai..... Bhoolay Se Hi Poochhnay
Aajaye Mera Haal,, Ae Gardish e Haalaat,
Usay Waqt Kahan Hai....
.
Mojon Mein Tarapta Huwa
Main Doob Raha Hoon,, Thaamay Woh Mera Haath,
Usay Waqt Kahan Hai....

husn par jab kabhi shabab aaya, sari dunya main inqlab aaya/
toone mera hi khat jab mujhko laotaya, log smjhay tera jawab aaya

Raat Ko Peechlay Pehar
Uth'ta Hai...
Dard-e-Dil Tahajjud_Guzaar
Ho Jaisay

Shauq hay iss dil-e-darinda ko
Aap k hont kaat khanay ka

"Dekhe Bagair Jisko Naa Kat ta tha ek Pal
Dekhe Huye Usko Zamaana Guzar Gaya...!!!"

Barson ke intizaar ka najaam likh diya
Kagaz pe sham kaat ke phir shaam likh diya

Ajeeb Andehra Hai SAAQI Teri “MEKHANE” Me

Kisi Ne “DIL” Bhi Jalaya To “ROSHNI” Na Howi..!!

Ik ashk ki qeemat ho agar ek hi paisa

to suno_tum lakhoon k maqrooz ho mere

Woh fareb khurda shaheen jo pala ho kargason mein
Usse kya khabar ki kya hai rah-o-rasm-o-shaah baazi

Yeh tera teer hai ki jaan le ke nikle ga....
Par yeh meri jaan hai mushkil se nikle gi.....

Pehle gham-e-furqat ke yeh taiver to nahin they,
Rag rag mein utarti huyi tanhai to ab hai..

Paani ki dushmani bhi viraasat mein paayi thi,
Ghar bhi samundron ke kinaarey banaye they..

Na kamsin hun na nadaan hun,
muhabbat ko samajhti hun


tumhara kya bharosa hai,badal jao jawan ho kar...

Ab to hathon se lakeirein bhi miti jati hain,
Tujh ko kho kar to raha mere paas kuch bhi nahi.
kal bichadna hai to phir ehd e wafa soch ke baandh,
abhi aagaz e mohabbat hai gaya kuch bhi nahi.

Mein to is waaste chup hoon ki tamasha na bane
Tu samajta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi

Kabhi Gham Ki Aag Main Jal Uthay
Kabhi Dil Ka Dagh Jala Dia
Aey Janoon-E-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia
Gham-E-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia
Mera Jazba-E-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi
Jahan Tera Naqsh-E-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia
Abi Kar Rahay Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba
Tumhay Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!


Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar,
To kehna hosh bas itna hai tum ko yad karte hain…

Hum buton se jo pyar karte hain
Naql e parwardigar karte hain
Itni qasmein na khao jao ghabra kar
Hum aetibaar karte hai......

Ae dekhne wale meri hansi pe na jaa
Yeh to parda hai gamme dil ko chupane k liye


  • 06:18
  • Shaam-e-gam
You are all welcome...........




Popular Posts

Blog Archive