Ae Mard-e-Khuda! tujh Ko Woh
Quwwat Nahin Hasil
Ja Baith Kisi Ghaar Mein Allah Ko
Kar Yaad
Miskeeni-o-Mehkoomi-o-
Naumeedi-E-Javed
Jis Ka Ye Tasawwuf Ho Woh
Islam Kar Ijad
Mullah Ko Jo Hai Hind Mein Sajde
Ki Ijazat
Nadan Ye Samajhta Hai Ke Islam
Hai Azad!


Ye sard raate’in bhi ban.kar abhi dhuaan udd jaaye’in
Wo ek lihaaf main odhoon to sardiyaan udd jaaye’in

Khuda ka shukr ke mera makaan salaamat hai
Hain itni tez hawaayein ke bastiyaan udd jaaye’in


Nayi hawaao.n ki sohbat bigaad deti hai,
Kabootaro.n ko khuli chhat bigaad deti hai.....

Jo jurm karte hai.n, itne burey nahi hote,
Sazaa na deke, adaalat bigaad deti hai.............


نیٴ ہواوں کی صحبت بگاڑ دیتی ہے
کبوتروں کو کھلی چھت بگاڑ دیتی ہے
جو جرم کرتے ہیں اتنے بُرے نہیں ہوتے
سزا نہ دے کے عدالت بگاڑ دیتی ہے

ڈاکٹر راحت اِندوری  

Tere wade par kahan tak mera dil fareb khaaye
Koi aisa kar bahana meri aaas tooot jaye.............


 تیرے وعدے پر کہاں تک میرا دل فریب کھا ےٴ
کوییٴ  ایسا  کر  بہانا  میری  آس  ٹوٹ  جاےٴ



har ek baat pe kehte ho tum ki ‘too kya hai’ ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai?
 
ہر ایک بات کہتے ہو کہ تو کیا ہے
تمہیں بتاو کہ یہ اندازَ گفتگو کیا ہے
 
مرزا غالب 

Andaaz e bayan gar chi shokh nahi hai
shayad ki utar jaye tere dil mein meri baat


Yeh tera teer hai ki jaan le ke nikle ga
Yeh meri jaan hai mushkil se nikle gi

یہ تیرا تیر ہے کہ جان لے کے نکلے گا
یہ میری جان ہے مشکل سے نکلے گی

Log pad lete hain meri aankhon se ab dil ki halat
Mujh se ab tere pyar ki hifazat nahi hoti.............
لوگ پڑھ لیتے ہیں میری آنکھوں سے اب دل کی حالت
مجھ سے اب تیرے پیار کی حفاظت نہیں ہوتی۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

Tuhj ko bhoolun yeh koshish kar ke dekhoon ga
Warna Darya ka ulta behna mumkin nahi hota

Meri awargi mein kuch qasoor Us ka bhi hai dosto,
jab Uski yaad ati hai to hume ghar acha nahi lagta….
میری آوارگی میں کچھ قصور اس کا بھی ہے دوستو
جب اُس کی یاد آتی ہے تو ہمیں گھر اچھا نہیں لگتا 

Us ne phir se salaam bheja hai,
phir kisi se bigad gai hogi shayad uski….
اُس نے پھر سے سلام بھیجا ہے
پھر کسی سے بگڑ گیی ھو گی شایداُسکی

Nadi, Pahad, Shajar aur na gulistaan ki taraf
Zameen dekhti rehti hai aasmaan ki taraf
Yeh aur baat hai kai ghar hain beech mein lekin
Tumhare teer ka rukh hai mere makaan ki taraf

ندی پہاڑ شجر اور نہ گلستان کی طرف
زمیں دیکھتی رہتی ہے آسماں کی طرف
یہ اور بات ہے کٴی گھر ہیں بیچ میں لیکن
تمہارے تیر کا رخ ہے میرے مکان کی طرف

Jab wo daanton mein daba lety hain Gulaabi hont...

Kitny pur_kaif nazaaron ko sza milti hai...

tasawur mein chale aate, tumara kya bigad jaata
tera parda bana rehta mera deedar hojata.......

Me iShQ Ka mUfti to nahin, magr mera yeh fatwaa hai....

Jo Raah me chor jaye w0 kaafir se bi badtar hai....!
میں عشق کا مفتی تو نہیں، مگر میرا یہ فتوا ہے
جو راہ میں چھوڑ جا ٴے وہ کافر سے بھی بدتر ہے 

Na dekha ki jaan se jaata hai koi
bohat dair ki meharbaan aate aate........

Na Kia Kar Apne Dard-E-Dil Ko Shayri Mein Bayaan,

Log Or Toot Jate Hain Har Lafz Ko Apni Dastan Samjh Kar,

Dil Ko Kaisay Bata Tasalli Doon
Chain Is Ko Agar Nahi Aata
Chashm E Purnam Ko Kaise Samjhaoon
Is Ko Agar Tu Nazar Nahi Aata

Ishq ka rasta chunaa hai to lekin,
Dekhiye ab kab jaan nikalti hai..

Kamal Ka Shaks Tha Jisne Merey Zindgi Tabha Kar Di,
Raaz Ki Baat To Ye Hai K Dil us Se Khafa Ab Bhi Nahi...!!

'Nadaan' Hai Jo Rakhtey Hai Umeed Kisi Par,,

Ek 'Zaat-E-Khuda' Ke Siwa Koi Kisi Ka Nahin Hota...

MerE sapNou kO SaDaa yOun Hi saLamaT rakhNa..

MeiN nE tHamA hAi tEra haTh BadHi maaN kE satH___ !!

Mere magroor dil ko tameez sikha di....
ye Acha hua ki tum Bewafa huvay......

:-* ♥ Tumhari Yad Ke "Khushbu" Mere Daman se Lipti Hai ♥ ♥ ♥

♥ :-* ♥ Bohat Acha Lagta hai Tumhin Hi "Sochtay" Rehna ♥ ♥ ♥

Mere khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota
Kabhi ek nazar chahat se dekh hi liye hota...

Sheeshon se Seekha Ha Main Nay Mohabbat Ka Hunar
Todney Wale Ka Aks Bhi Khud Mein Basa Letay Hain..

Aah, kis ki justajoo aawaara rakhtee hei tujhay
Raah too, rahrau too, rahbar bhi too, manzil bhi too

Mujh ko tasleem mein sharaabi hoon
Phir bhi fitrat ajeeb paayi hai
Mein nazar se sharab peeta hoon
Meri rindi bhi parsaayi hai

Shikan na daal jabeen par sharab dete hue
Yeh muskurati hui cheez muskura ke pila
Suroor cheez ki miqdaar par nahi maqoof
Sharab kam hai to saaqi nazar mila ke pila.....

Tum ne bhi humari yaad ko diye ki  tarha samjha hai,
raat gehri hui to jala diya subha hui  to bhuja diya….

Hum ne to rait mein pher li thi yun hi ungliyan......
Dekha jo gaur se to teri tasveer bani thi

Aashqui ko masti-e-guftaar mein nehlaye ga
Kya khabar thi ishq itna hi fi hojaye ga
Risht-e-dukhtar mein ab koi pareshani nahi
Usko ik mobile dila do rishta khud ba khud aajayega.....
Sajad jhanjat

Naiza nahi badla koi khanjar nahi badla
Qatil to badalte rahe yeh sar nahi badla.
Muddat se gareebon ka muqadar hai yeh footpath
Chadar nahi badli koi bistar nahi badla
Pehle ki tarah aaj bhi ghar jalte hain mere
Sarkaat badalne se bhi yeh manzar nahi badla
Mumkin hai ki dhoondne ajaye woh mujh ko
Mein ne isi umeed se yeh ghar nahi badla.
By manzar bhopali

Popular Posts