Ye sard raate’in bhi ban.kar abhi dhuaan udd jaaye’in
Wo ek lihaaf main odhoon to sardiyaan udd jaaye’in

Khuda ka shukr ke mera makaan salaamat hai
Hain itni tez hawaayein ke bastiyaan udd jaaye’in



Zamee’n se ek ta’aalluk ne baandh rakkha hai
Badan main khoon nahi ho to haddiyaan udd jaaye’in

Bikhar bikhar si gayi hai kitaab saanso ki
Ye kagzaat khuda jaane kab kahaan udd jaaye’in

Rahe khayal ke majzube ishq hain hum log
Agar zameen se phoonkein to aasman udd jaaye’in

Hawaaye’in baaz kahaan aati hain sharaarat se
Saro’n pe haath na rak.khe to pagdiyaan udd jaaye’in

Bahut guroor hai dariya ko apne hone par
Jo meri pyaas se uljhe to dhajjiyan udd jaaye’in

Popular Posts